Lockdown Aur Mrityu: Coping Up!
COVID-19 ne aaj humari zindagi mein kayi badlav laa diye hain. In badlaavo mein se ek “Kisi apne ki mrityu” ka dukhad samachar milna bhi hai. Phle jab kisi ki tabiyat kharab hone ki khabar matra se, hum unki seva karne unke paas pahuch jaate the, is Lock-down ne vah saubhagya bhi humse cheen liya hai.Aaj ke samay mein antim yatra se lekar ke 13-vi ke bhojan tak ki sabhi paramparao mein antar aa gaya hai. Ghar se dur reh rahe bache apne bade budho ke ek darshan matr taras jaa rahe hain.Itne kathin samay mein, jab hume akele rehne ki seekh dii ja rahi hai, us samay mein apne kisi khas ki mrityu ke dukh se ubar pana bhi bahut kathin hai.
Is kathin paristithi ka samna karne hetu kuch sujhav is prakar ho skte hain.
1.Agar aap us sthan se dur hain jaha pe yeh ghatna hui hai, ya vaha tak pahuch nahi sakte kyuki sarkaar ne aane jane pe rok laga ke rakhi hai to apne parivaar-jano se phone-calls ke dwara sampark mein rahe. Mushkil ki ghadi mein apne hi himmat aur prem de pate hain.
2.Humare culture mein, kisi ki mrityu upraant unke parthiv shareer ke darshan kiye jate hain, unki antim yatra mein shamil hua jata hai. Par abhi lock-down ke chalte sarkaar ne kayi niyam laagu kiye hain jisse bahut hi kam log apne mrit parivar-jan ke darshan kar pa rahe hai. Ese mein Video-calls ka sahara le. In video-calls ke karan, aap apne parivar ke nikat mehsus karenge
3.Jab bhi hum aakhiri baar apne khas vyakti ko milte hain, unke darshan karte hain, hum mann mein hi unse kayi baate karte hain. In baato ko antim baar use batate hain, ye baate ye hoti hain ki vo kitna khas tha humare liye, usne humare jeevan ko sudharne mein kitni madad ki thi, usse hume kitna pyaar hai, aadi. Parantu ab humara vaha jana mumkin nahin hai aur apne mann ki vah baate hum kisi se bol bhi nahi sakte. Iska ek hal ho sakta hai, hum ek chitthi mein apni bhavnaye likh sakte hain, yeh chitthi us vyakti ko sambodhit kare jiski mrityu se aap vichlit hain. Yeh chitthi likh ke aapke mann ko himmat aaegi aur apka mann halka bhi hoga.
4.Apne kisi priya-jan ko khone ka dukh bahut hi zyada hota hai, fir bhi hume din raat lagataar rote rehna mumkin nahi hota. Insaan bhi kuch kuch der ruk ke rota hai, parantu agar hum baar baar social media pe baaki logo daali gayi mritya vyakti ka photo dekhte rahenge to hume aur rona aaega, mann aur kamzor hoga. Isi karan se ese samay mein hume lagatar social media se jude nahi hona chahiye, kuch samay bina mobile ke, shant baith kar bhi guzarna chahiye.
5.Agar aap kisi karan-vash apne parivar-jan se dur hain to laazmi hai ki dukh aur akelapan ye khabar milte hi aapko har taraf se gher lega. Iske nivaran ke liye, apne mata-pitaji, bhai-behen, ya koi karibi mitron ki sahayta le, unse aagrah kare ki ve thode thode samay mein aapse phone pe call kare, aapki mann ki sthiti ki khabar lete rahe.
6.Jo vyakti apne priya-jan ke guzar jane ke baad ghar nahi jaa pa raha hai aur akele hai, vah ek samay pashchaat apne aap ko kosne lagta hai, apni ghar na pahuch pane ki nakaami pe khud ko bura samajhne lagta hai. Aapka yeh samjhna zaruri hai, ki yeh lock-down ke samay bahut se log esi hi sthiti ka samna karre hain aur isme unki koi galti nahi hai. Agar aap bhi kuch sa hi kar rahe hain to ruk jaiye!! aap apne mitra baniye naa ki apne dushman. Apne mann ko himmat dijiye, apne aap ko dukh mein se ubar pane ki shakti dijiye. Akele hone par sirf aap khud hi apni himmat bann sakte hain.
7.Sabse aam baat hai jab hum dukhi hote hai sara dukh aur gussa apne bhojan pe nikalte hain. Esa karna bilkul galat hai. Bhale hi aap thoda kam khaiye parantu khana khana apke liye bahut zaruri hai. Is dauraan, pani pine ka bhi khas khyal rakhna padega. Zyada se zyada pani pine se apka mann bhi zyada udas nahi hoga. Kya kabhi socha h rote vyakti ko sab pani kyu pilate hain?? Vah isliye ki jab hum pani pite hain to kuch samay ke liye humara rona ruk jata hai.
8.Esa ho sakta hai ki akelapan apko aur zyada dukhi kar raha ho. Esa ho sakta hai ki apne kisi khas vyakti ka mrityu samachar milte hi vaha naa pahuchpane se bhi apka mann bahut udaas ho. Is samay mein bahut si baate kehne ki hoti hain parantu apne sath kisi ko naa pa ke aap bol nahi pate, Ese samay mein, apne kisi karibi ya us vyakti (jo ab nahi rahe) ki hi tasveer samne rakh ke apne mann ko halka kar skte hain, unse baat kar ke, unke samne ro ke aap ko kuch samay baad shanti ki anubhuti hogi.
9.Agar kisi ese vyakti ki mrityu hui hai jo ki kaafi samay se bimar chal rahe the, jinka rog unhe bahut samay se takleef pahucha raha tha to yaad rakhna zaruri hai- “Jo peeda apko unke jaane se ho rahi hai usse bhi kayi adhik peeda unhe jeevit rehke ho rahi thi.” Yadi esa nazariya rakhenge, to apko himmat milegi.
Hum samajhte hain ki itni sabhi baate apnana, esi bheeshan dukh ki paristithi mein bahut mushkil hoga. Humari bass ye koshish rahegi ki kisi bhi prakar apka dukh kam kar paye.Yadi aap ki jaankari mein, ya aap ke hi parivaar mein se koi dur fass gya hai, aur parivar ke sath nahi hai ese dukh ki ghadi mein, to unse sampark bandhana aur unhe himmat dena bhi aapki zimmedari hoga
Comments